Thursday, May 20, 2010
riyaaz aur rehmat
hi friends, this is my first blog . i would like to write it in hindi urdu n english.... kucchh dino se ye do alfaz mere zehan me ghoom rhe hai, shayad ek ambitious banda zab apni manjil ki taraf chal rha hota hai aur kucchh challenges face karne padte hain.. mere sath bhi kucchh asa hua hai aur kai baar hua hai, is baar ye do words riyaaz aur rehmat bahut kucchh bayan karne ke mood me hain.. pehla word riyaaz, jiska matlab hai koi bhi kaam ko badi shiddat se krna ya dil se koi kaam krna , ya practicing till u get perfection.. to ye kaam hamare hath me hai, kabhi kabhi ya bahut baar riyaaz ke bawzood kaamyabi nhi milti. tab me aur mere dost pareshan ho zate hain , why we are not getting deserved fruits of action. we tend to think negative then .. Tab doosra alfaaz apna rang dikhata hai aur wo hai Rehmat of God. zab hamare kiye hue kaam per uski rehmat ki nazar ho zati hai tab wo kaam kaamyabi me tabdil ho zata hai. so there is very strong relation between these two words .. is cheez ko sochne ke baad mujhe kucchh sukoon mila aur ye bhi khuda ki hi rehmat hai ke mane is cheez ko socha . ye tay karna ki hamara riyaaz kitna sahi hai , sirf us khuda ka kaam hai , aur humein kai baar lagta hai ki kai logo ko cheezein aasani se haasil ho rahi hai aur hum raat din ek ker rhe hai fir bhi whi ke whi hain .. aur asa sochte sochte hum hamara riyaaz kharab ker lete hai aur khuda se rehmat na milne ki shikayat karte hain ..sochiye hum kitne galat ho zate hain tab . mere sath bhi hua hai asa , magar ye galat hai khuda ka har kaam krne ka apna style hai . n he is always perfect.. whenever he gives us failure , he wants to derive an extraordinary accomplishment through us , its upto us that we apply our full riyaaz towards it or not .. me bhi apne aap ko riyaaz me lagana chahta hu .. for it also i need rehmat-e-khuda...
Subscribe to:
Posts (Atom)